Jetpack WordPress plugin kya hai? aur ise setup kaise kare? iski puri jankari aaj ham is article me dene wale hai. aap sab jante hi honge wordpress site Blogging karne ka sabse best platform hai. wordpress blog ko best banan ke liye wordpress plugins use karna very important hota hai, aap wordpress blog ko bina plugins use kiye best nahi bana sakte hai. to aaiye jante hai jetpack wordpress plugin kya hai, aur ise setup kaise karte hai ?
WordPress Blog Me Jatpack Plugin Se Lazy Load Images Enable Kaise Kare
Akismet WordPress Plugin Ka Setup Kaise Kare – Step by Step Guide
Table of Contents
Jetpack WordPress Plugin Kya Hai ?
jetpack wordpress best wordpress plugins me se ek hai, jise Automatic company dwara create kiya gaya hai. wordpress website ke liye jetpack wordpress plugin ek best seo plugin hai.
jetpack plugin hamare wordpress blog ke liye bahut sare features Provide karta hai. yeh plugin aapko free aur paid dono version me milta hai, agar aap ise purchase nahi karte ho, to is plugin me hame kuch limited features hi milte hai. lekin aap ise purchase karege to aapko aur bhi bahut sare advance feature mil jate hai. Jetpack plugin me kuch aise Features hai. jinhe ham use karke apne blog ko high security de sakte hai, blog ko seo friendly bana sakte hai. kai sare plugins ka kam yah jetpack plugin ke jariye kar sakte hai, example- site overviews dashboard, email subscription, sharing button, mobile optimizer etc. yah kuch aise features hai, jo har blog website ke liye Important hote hai.
I know ki aapko pata chal gaya hoga ki, jetpack wordpress plugin kya hai ? ab ham jante hai.
On Page SEO Tips Blog Website Ki Ranking Improve Karne Ke Liye
Yoast Seo WordPress Plugin Settings/Setup Kaise Kare
Seo Kya Hai Seo Ki Puri Jankari
Jetpack WordPress Plugin Ko Setup Kaise Karte Hai ?
Jetpack wordpress plugin ko setup karne ke liye hame step by step follow karte rahiye. ham aapko puri jankari dege ki, jetpack wordpress plug setup kaise kiya jata hai.
Step 1
Sabse pahile aapko apne wordpress dashboard me login karna hai. fir Plugin >> Add new par click karna hai.
Step 2
Ab aapko ek search box show hoga jisme aapko jetpack wordpress type kar ke search karna hai.
Step 3
Ab aapko jetpack wordpress plugin ko install karne ke liye Install now button par click karna hai. install hone ke baad aapko activate ka button show hoga isko activate karne ke liye activate par click karna hai.
aap yaha se bhi jetpack wordpress plugin ko download karke wordpress par upload kar sakte ho. Download Jetpack Plugin
Activate par click karne par connect jetpack to wordpress.com ka page open hoga isme aapko jetpack ko setup karne ke liye WordPress.com par login karna hoga. Agar aapka account wordpress.com par nahi hai, to aap wordpress.com par sign up karke apna account bana lijiye.
- Blog Website Ko Google Webmaster Tools Me Submit Kaise Kare
- Blog Website Ko Bing Webmaster Me Submit Kaise Kare
WordPress.com par login hone ke baad aapko jetpack wordpress plans ka page open hoga aapko isme start with free par click karna hai.
Step 4
Start with free par click karte hi aap jetpack wordpress ke dashboard me pahuch jaoge yaha par aapko activate recommend features par click karna hai. fir aapko setting ko open karna hai. yaha aapko jetpack wordpress plugin ki setting 5 part me divide dikhai degi.
- Backlinks Kaise Banaye Website Par Traffic Badane Ke Liye
- Top 10 Backlinks Checker Tools Jahase Aap Backlinks Check Kar Sakte Ho
- Writing
- Sharing
- Discussion
- Traffice
- Security
Jisme har ek section important hai, to chaliye ham in sabki ek-ek karke setting karte hai.
1] Writing [jetpack Settings]
WordPress.com toolbar
Is option ke jariye ham wordpress.com ke tools use kar sakte hai. is opation ko off hi rahne dijiye kyu ki wordpress.org par hame kai sare tools and plugins mil jate hai.
Composing
Yah markup language ki trah hota hai, jo plaintext ko html ke code me format kar deta hai. ise aap off hi rahane dijiye.
Spelling and grammar
Yeh hamare post ke spelling and grammar ko check kar ke unhe indicate karta hai. isliye ise on rakhe.
Media
Agar aap full screen browsing me images and gallerys ko show karna chahate ho, to ise enable kar sakte hai. nahi to ise off hi rahne dijiye.
- Blogging Kya Hai? aur Blogging Ki Suruwat Kaise Karte Hai?
- Top 10 Best Blogging Platforms
- Free Blog Website Kaise Banaye Blogger Platform Par
Speed up your site
Is option ko on kare is opation se aapki site ki images seo friendly hogi, aur site ki speed boost hogi.
Lazy load image
Is option ko bhi on rakhe taki aapki site ki images fast load ho sake, aur site ki speed improve ho.
Custom content types
Testimonials and portfolios in dono options ko off hi rahne dijiye.
Theme enhancements
Infinite scroll
Isme aapko 3 option show hoga
Load more posts using the default theme behavior
Load more posts in page with a button
Load more posts as the reader scrolls down
Ise Load more posts using the default theme behavior par hi rahne dijiye.
Enable the Jetpack WordPress Mobile theme
Agar aap chahe to is option ko on kar sakte ho, nahi to ise off hi rahne dijiye.
Post by email
Agar aap kisi visitors ko email subscription ki seva dena chahate hai, to ise on kare nahi to off karde.
2] Sharing [jetpack Settings]
Publicize connections
yeh bahut hi achha option hai aap jab bhi site par koi new post kar te hai. to yeh automatic hi social site par share ho jati hai jaise ki, Google Plus, Facebbok, tweeter, LinkedIn, etc. isliye is option ko on kar dijiye. aur connect your social media account par click kar ke apne social media account ko jod de.
Sharing buttons
Is se hamari site ki post ke niche share button add ho jata hai jisse hamare site par post padne vale visitors post ko social media par share kar sakte hai. ise bhi hame on karna chahiye.
Like buttons
Agar aap apne content me like button add karna chahate ho, to is options ko enable kar sakte ho.
3] Discussion [jetpack Settings]
Comments
Aapke visitors aapke blog par facebook, twitter aur wordpress.com se comment kar sakte hai, agar aap chahe to ise on kar sakte ho nahi to ise off hi rahne dijiye.
Enable pop-up business cards over commenter’s Gravatars
Agar aap commenter’s par pop-up business cards ko eneble karna chahate ho commenter’s ki image show karna chahate ho. to ise enable kare.
Enable Markdown use for comments
Agar aap apne site ke comments ke liye markdown enable karna chahate ho to, ise enable kar sakte ho.
Enable comment likes
Agar aap apne site ke comments par like ka option enable karna chahate ho to, is opation ko on kare.
Subscriptions
Agar aap chahate ho ki aapke visitors aapke site ko subscribe kare to is option ko enable rahne dijiye.
4] Traffic [jetpack Settings]
Site stats
Agar aap apne site ki sari traffic reports jetpack dashboard par dekhna chahate ho to is opation ko enable kariye.
Show related posts
Is option ko on karne se hamare post ke niche us post se releted post show hone lagte hai jisse hamare post par traffic badegi. is options ko bhi enable kar dijiye.
Sitemaps
aap is option ko on hi rahne dijiye kyu ki ise on rakhne se search engine aapke site ko fast index karta rahega.
Site Verification
Isse aap apne google search engine meta code aur dusre search engines ke meta code ko asani se apne site me add kar ke verify kar sakte hai, isliye ise bhi on rakhe.
5] Security [jetpack Settings]
Brute force attack protection
Yeh aapke site ka brute force attack se bachav karta hai aap ise on rakhiye agar yah option on nahi hai to, ise on kar dijiye yeh hamare site ke liye important hai.
wordpress.com log in
Iske jariye aap apne wordpress.com site se direct wordpress.org par login kar sakte hai ise off rahane dijiye.
Is trah se ham easily jetpack wordpress plugin ko wordpress site par install kar sakte hai.
I hope ki aap samaj gaye hoge ki jetpack wordpress plugin kya hai ? aur ise setup install kaise karte hai?
Agar fir bhi aapko koi steps samaj me nahi aaraha hai to, aap hamse comment karke puch sakte ho. ya aap hame contact bhi kar sakte ho.
Post achhi lage to post ko apne dosto ke sath share jarur kariye.
agar aapne abhi tak great guide info ko subscribe nahi kiya hai, to ise abhi subscribe kar lijiye, ham ispar blogging, seo, youtube, wordpress, computer, hacking se jude articles publish karte rahte hai jiski notification aapko apne gmail inbox me milti rahegi.
Very useful tutorial for WordPress user.
thanks, keep visiting