Aap wordpress website banate samay wordpress install karte ho to isme apna wordpress username and password bhi choose karte ho aur feature me aapko wordpress username change karna pade to aap kaise apna wordpress username change kar sakte ho is par aaj ham aapke liye 3 simple methods lekar aaye hai jinhe follow karke aap yah bahut hi asani se kar sakte ho.
WordPress Kya Hai WordPress Ki Puri Jankari
WordPress Blog Me Category, Tags and Pagination Noindex Kaise Kare
Ham jab wordpress install karte hai tab wp hame default username admin suggest karta hai aur kai new wordpress users username ko change kare bina hi wordpress install karke setup kar dete hai aur jaise jaise knowledge badti hai unhe pata chal jata hai admin username wordpress security ke liye kitna khatarnak ho sakta hai. yadi aapke sath bhi aisa huva hai aur aapne bhi wordpress install karte waqut username admin hi rakhata to ise abhi change kar dijiye. kyoki admin username wale website ko hacker ke liye hack karna bahut hi easy ho jata hai aur kai bar isme ham aur aap jaise logo ki site bhi aa jati hai. isliye me aapko personal suggest karuga yadi aapka wp dashboard login username bhi admin hai to ise abhi change kar dijiye.
WordPress Blog Post Me Table of Contents Kaise Add Kare
Customized WordPress Theme Export/Download Kaise Karte Hai
Table of Contents
WordPress Username Change Kyo Kare
Wp username change karne se pahile aapko yah pata hona chahiye ki aap aisa kyo karna chahate ho yah aapka koi personl reasons ho sakta hai par yah kuch most common reasons hai.
1] aap ek most secure username chahate ho isliye ise badalne ki soch rahe ho.
2] wordpress installation process ke samay aapne apna username default “admin” select kiya tha aur ab ise change karna chahate ho.
3] aapka username kisi ko pata chal gaya hai. aur aap ise change karna chahate ho.
4] apne admin account ko dusre users ko dena chahate ho.
5] aap ek aisa wordpress username select karna chahate ho jo aapke site ke style aur branding se match karta ho.
Aapka koi bhi reasons ho sakta hai jiske liye aap wp username change kaena chahate ho.
WordPress Username Kaise Change Kare
WordPress username ko change karne ke 3 tarike hai isnme se 2 tarike ko aap manually kar sakte ho. aur ek tarika bahut hi simple hai iske liye aapko username changer plugin ko wp dashboard me install and activate karna hoga
Ab yah aap par depend karta hai ki aap konse method ke sath apna wordpress username change karna chahate ho.
wp username change karne se pahile apne site ka backup banakar rakhe. Yadi aapse kuch galti hoti hai to backup install karke apne site ko pahile jaisa bana sakte ho.
Method 1
Dashboard Se WordPress Username Change Kaise Kare
Is method me aapko new user profile create karke purani user profile delete karni hogi.
Step 1
First wp dashboard me login kare left menu me se “User>>Add New” par jaye.
Step 2
Aapke samne Add New User form open hoga isme aapko apni details dalna hai.
1] Username : yaha par aap jo apne wp dashboard ka new username dalna chahate ho use dal dijiye.
2] Email : yaha par apna email address daliye.
Note : aap yaha par jo email address daloge vah pahile ke user account se alag hona chahiye.
Gmail Account Kaise Banaye Google Gmail Par
Microsoft Account Kaise Banaye (Outlook Email)
3] First Name : yaha par apna first name enter kijiye
4] Last Name : yaha par apna last name enter kijiye
5] Website : yaha par apne website ka naam enter kijiye
6] Password : yaha par show password par click kijiye iske baad box me apna password enter kijiye. yaad rakhiye wp dashboard ka password hard hona chahiye jise koi bhi guess na kar sake aap yaha par jobhi password enter karoge wo aapko yaad hona chahiye kyoki bina username and password ke wp dashboard open nahi hoga. password me aap alphabet, numbers and symbol ka use kar sakte ho.
Example : (Example123.) , (@Example123) is trah se
7] Send User Notification : is box me tick kar dijiye isse aapko user notification milti rahegi.
8] Role : yah bahut hi important hai isme kai sare roles hai inme se aapko “Administrator” select karna hai. yani wp dashboard ka full control aapke paas hoga.
9] Add New User : sabhi settings karne ke baad “Add New User” par click karke settings ko save kar dijiye.
WordPress Website General Settings Kaise Karte Hai
Ab “All User” me jakar dekhiye aapne jo new wordpress username banaya hoga uski profile create hogai hogi.
Step 3
wp dashboard ke right side me upar ki taraf “Howdy” par apna mouse lekar jaye aur “Logout” par click karke wordpress ko logout kar dijiye.
Ab apne new wordpress username ke sath wordpress dashboard me login kare.
Firse “User>>All User” par jaye isme se apna purani user profile par mouse lekar jaye isme delete ka option enable ho jayega ise “Delete” kar dijiye.
Delete par click karne ke baad “Delete Users” ka page open hoga isme aapko 2 option show hoge.
1] Delete all content : yadi aap is option par mark lagakar profile delete karte ho to iske sabhi contents delete ho jayege. yani aapne is profile se jo bhi post ki hogi ya images upload kiye hoge wo sabhi delete ho jayege.
2] Attribute all content to : yadi aap is option ko mark lagakar apna new user profile select karke profile delete karte ho to delete karne wale profile ke sabhi contents aapke new profile me transfer ho jayege yani aapke purana contents delete nahi hoga. isliye me aapko suggest karuga ki jab bhi aap koi profile delete karo to us profile ke contents ko delete hone se bachane ke liye second option “attribute all content to” ko mark kijiye
3] Confirm Deletion : kisi ek option ko mark karne ke baad confirm deletion par click karke profile ko delete kar dijiye.
Ab aapki new user profile aur new wordpress username ban gaya hai ab aap jab bhi wp dashboard me login karoge to new wp username or password dalne par hi wp dashboard open hoga
Method 2
php MyAdmin Se WordPress Username Kaise Change Kare
is method me aapko apne cpanel me jakar phpMyAdmin se username change karna hoga. yah step bhi simple hai bas aap ise step by step dhayan se follow kijiye.
Step 1
Sabse pahile apne cpanel me login kare. iske baad search kare phpMyAdmin ya “DATABASES” section me jakar “phpMyAdmin” par click kare
Step 2
phpMyAdmin par click karne par phpMyAdmin control panel open hoga isme left side me wordpress installation database par click karna hai yani jis database me aapne wordpress install kiya hai use open karna hai.
Xampp Server Kya Hai Xampp Download Aur Install Kaise Kare
ab aapke samne database table show hoge isme aapko “wple_users” find karna hai aur use open karna hai yah hamesh “usermeta” ke niche hote hai.
Step 3
wple_users ko open karne ke baad aapko “Edit” par click karna hai.
Step 4
Edit par click karne ke baad users table open hoga isme aapko “user_login” ke second box me apna username enter karna hai iske baad “Go” par click kar dena hai.
Is trah se aap kuch simple steps follow karke without plugin phpMyAdmin se wordpress username change kar sakte ho.
Popular Blog Topics Jinpar Aap Blog Bana Sakte Ho
WordPress Par Kitne Types Ki Website Bana Sakte Hai
Ab aaiye 3 method dekhte hai with plugin wordpress username change kaise karte hai.
Method 3
Username Changer plugin Se WordPress Username Change Kaise Kare
Is method me aapko wp dashboard me username changer plugin install karna hoga. yah bahut hi simple and short time working method hai.
Step 1
Sabse pahile apne wp dashboard me login kare left menu me se “Plugin>>Add New” par click kare.
WordPress plugin directory open hogi yaha par search box me “Username Changer” search kare ise install kare fir activate kare
Step 2
Username changer plugin install and activate karne ke baad “Users>>All Users” par jaye isme se apni profile select kare jiska aap username change karna chahate ho. aur fir “Edit” par click kare.
Step 3
pahile aapne dekha hoga username ke samne do not change username likha hota tha. par ab yaha par “Change Username” ka option show hoga.
change username par click karte hi username box enable ho jayega isme apna new username enter kijiye. fir “Save Username” par click kar dijiye.
ab aapka username successfully changed ho jayega.
to is trah se aap username changer plugin ki help se bahut hi kam samay me wordpress username change kar sakte ho.
I hope ki aap samaj gaye hoge. WordPress username kaise change kare
Bluehost India Se Domain Kaise Kharide Puri Jankari
Bluehost India Se Web Hosting Kaise Kharide Puri Jankari
Mai ummid karta hu, aapko post pasand aayi hongi Post achhi lage to ise aap apne friends aur whatsapp, facebook par share jarur kijiye aapki help se kisi ki help ho sakti hai.
Isi tarha ke helpful article (post) padhne ke liye aap GreatGuideInfo ko Subscribe jarur kariye aur hamara Facebook Page bhi jarur Like kariye isse hoga yah ki, jab bhi ham koi new article (post) website par dalege to uski notification aapko milegi. aur sath hi aap hamara youtube channel bhi subscribe kar sakte ho, yahase aap blogging, seo, make money par videos dekh sakte ho. Subscribe Great Guide Info Youtube Channel
Nic post sir Maine mera kar diya ho bhi gya mast h easy bhi h…
nice post sir aise he badhiya post banana
Bahut hi badiya jankari Share ki hai apne WordPress users ke liye
Iske liye thanks
thanks keep visiting